APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CANCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Important announcement for the member of PPSC Forum
Post Reply
SalmanBukhari
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 154
Joined: Tue Jun 09, 2015 1:10 am
Nationality: Pakistani

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by SalmanBukhari »

APPLICATION TO PPSC-1.pdf
Jazi wrote:Draft of application:
Please give us suggestions for improvement in this application and also give us names of aspirants which are agreed to put their name in this application.
very nice application jazi bhai.
God bless you.
we all are with u.
You do not have the required permissions to view the files attached to this post.
HAROONADVOCATE
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 34
Joined: Mon Aug 03, 2015 8:05 pm
Nationality: Pakistani

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by HAROONADVOCATE »

To all respected members,,,,,,,,
A.O.A. I have some points which can be very useful regarding this issue.

1- pehli baat to ye hai k ye sb 1st div Walon ko disheart krny k Liye ni hai bl k is ka maqsad interview mein ist and 2nd div 2no ko equal opportunities dena hain regarding interview marks.

2-is se 1st div Walon ko koi nuksan ni ho ga....common sense ki baat hai k jo hard working candidate hai aur mehnat se 1st div le raha hai to zyada chances yahi hain k wohi toppers mein se ho ga q k us k paas knowlege zyada ho ga....

3- aur ye k kaisy ho skta hai k interview leny wala member aik bndy ki 2nd div dekh k us k bary rejection ka mind na bnaye aur us se mushkil question na kry..wo to mind fix kr ly ga... is wajah se interview ki importance km lgti hai aur academic ki zyada..

4- agr 1st div Walon ko hi select krna hota hai to advertise mein 2nd ki option khatm kr dain ta k wo apply hi na kren....Kya wo sirf fee submit krwa k govt ka khazana bhar rahy hain

5-agr aik student clever hai aur jayez najayez ko Bhool k cheating kr k achy marks leta hai to us bechary ka kya qasoor hai jo honesty se marks leta hai aur parents k kehny pe cheating ya short cut use ni krta

6-hmary country ki hr uni aur board ka syllabus,paper pattern,exam system,marking system aur standard etc same ni hai to phr sb ko aik Lathi se q....

7-agr yahi policy rakhni hai to ye b ho skta hai k interview leny waly members totally unknown hun k kis ki kon c div hai ta k wo pehly se apna mind set na kren k kis se mushkil aur Kis se easy question....aur is k liye aisa b ho skta hai k academic marks interview k baad count kiye jayen aur un ka members ko pta na ho

8-bht se students poor family se belong krty hoty hain aur apni income k liye work aur study sath sath krty hain jis ki wajah se wo1st div ni ly skty aur baad mein koi choti job kr k books self study ly k competitive exam paas krty hain to 2nd ki wajah se reject to is mein un ka kya qasoor hai

9-professional education such as f.sc mein med aur non med mein nakami k baad students b.sc aur BA ki taraf jaty hain aur css ya koi aur competitive exam ka mind bna lety hain lekn un ko 1st div se interest ni hoti q k css mein 1st div zruri ni hai...is ko shayed lack of knowledge ya lack of proper guideline b keh skty hain

10-agr facilities ko dekha jaye to sb k liye equal ni hoti....specially there is much difference b/w city and village like tuition facilities etc....to In conditions mein equal kaisy

11-agr girls ki baat ki jaye to village ki girl k liye ghar se niklna b mushkil aur agr city mein college ya uni k qareeb koi rehta ho aur hr facility ho to 2no ko compare ni kia ja skta.

12-recently educators ki recruitment huwi hai ya jo pichly kuch year se huwe hain to us mein interview k marks 5 thay jis se interview leny waly k behavior se zyada fark ni parta aur sb ko pta k acedamic base pe....to agr aisi policy b kr di jaye to shayed theek ho...

ye kuch points ko b dekh k sb log decide kren aur sirf tanqeed braye tanqeed na kren aur in logon ka b khyal kren. sirf apni 1st div ki wajah se selfish na hun aur neutral ho k sochen..is se zyada shayed clarification ni ho skti hmary system ki...in se ikhtilaf ho skta hai lekn mostly ye true picture hain hmari society ki...
plz think observe and decide.......thankssss
User avatar
Jazi
TWO Star Member
TWO Star Member
Posts: 1529
Joined: Sun Jan 30, 2011 3:48 pm
Nationality: Pakistani
Location: میرا خوبصورت شہر ملتان
Contact:

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by Jazi »

Aaj mgy yad aa raha hy k jab ham log PPSC ki ratio policy k khelaf Lahore high court (Multan) me writ krny ja rahy thy tu us waqt b kch asy log moujud thy jo just apny zaati faidy ki khater hamri ser toor mukhalfat kr rahy thy jab k ham Haq or sach k sath khary thy or Allah ne hame us me kamyabi aata ki thi or wo ratio formula khtam hogya tha..
me ab b Mayous nhe hun or kisi ko b nhe hona chaheay ap jab apny rights k leay lar rahy hoty hen tu Allah pak ap k ander confidence paida kr dyta hy himat dyta hy InshaAllah zaror hamen es me b kamyabi mily gi...
jo jo log hame support kr rahy hen me unka shukar guzar hun or jo nhe kr rahy un ka b...
:) :)
Rao Jazib Saeed
Housing, Urban Development and Public Health Engineering Department Govt. of Punjab
WAQASALIGORAYA
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 189
Joined: Fri Jun 01, 2012 1:29 pm
Nationality: Pakistani

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by WAQASALIGORAYA »

Jazi wrote:Aaj mgy yad aa raha hy k jab ham log PPSC ki ratio policy k khelaf Lahore high court (Multan) me writ krny ja rahy thy tu us waqt b kch asy log moujud thy jo just apny zaati faidy ki khater hamri ser toor mukhalfat kr rahy thy jab k ham Haq or sach k sath khary thy or Allah ne hame us me kamyabi aata ki thi or wo ratio formula khtam hogya tha..
me ab b Mayous nhe hun or kisi ko b nhe hona chaheay ap jab apny rights k leay lar rahy hoty hen tu Allah pak ap k ander confidence paida kr dyta hy himat dyta hy InshaAllah zaror hamen es me b kamyabi mily gi...
jo jo log hame support kr rahy hen me unka shukar guzar hun or jo nhe kr rahy un ka b...
:) :)
Bravo
HAROONADVOCATE
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 34
Joined: Mon Aug 03, 2015 8:05 pm
Nationality: Pakistani

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by HAROONADVOCATE »

je bilkul.....
jazi bhai main ne b yahi request ki hai k selfish na bny ye log aur in becharon k bary ground realities dekh k decide kren
User avatar
haiderrajput
Supporter
Supporter
Posts: 414
Joined: Mon Apr 18, 2011 9:58 am
Nationality: Pakistani
Location: کامونکی ضلع گوجرانوالہ ، پنجاب ، پاکستان
Contact:

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by haiderrajput »

Jazi wrote:Aaj mgy yad aa raha hy k jab ham log PPSC ki ratio policy k khelaf Lahore high court (Multan) me writ krny ja rahy thy tu us waqt b kch asy log moujud thy jo just apny zaati faidy ki khater hamri ser toor mukhalfat kr rahy thy jab k ham Haq or sach k sath khary thy or Allah ne hame us me kamyabi aata ki thi or wo ratio formula khtam hogya tha..
me ab b Mayous nhe hun or kisi ko b nhe hona chaheay ap jab apny rights k leay lar rahy hoty hen tu Allah pak ap k ander confidence paida kr dyta hy himat dyta hy InshaAllah zaror hamen es me b kamyabi mily gi...
jo jo log hame support kr rahy hen me unka shukar guzar hun or jo nhe kr rahy un ka b...
:) :)
jazi bhai main apke sath hun yeh hmara huqq hai hum lay kr rahain gay :-)
* نَصْرٌ مِن الله و فَتْحٌ قَرِيب *
:::::::::: CH HAIDER KHAN BHATTI ::::::::::
(M.A , LL.M)

" Tommorow Is My Exam But I DON't Care
Bcoz A Single Sheet Of Paper Can't Decide My Future "
SAJAN0007
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 1
Joined: Thu Aug 06, 2015 10:38 pm
Nationality: Pakistani

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by SAJAN0007 »

Jazi wrote:Aaj mgy yad aa raha hy k jab ham log PPSC ki ratio policy k khelaf Lahore high court (Multan) me writ krny ja rahy thy tu us waqt b kch asy log moujud thy jo just apny zaati faidy ki khater hamri ser toor mukhalfat kr rahy thy jab k ham Haq or sach k sath khary thy or Allah ne hame us me kamyabi aata ki thi or wo ratio formula khtam hogya tha..
me ab b Mayous nhe hun or kisi ko b nhe hona chaheay ap jab apny rights k leay lar rahy hoty hen tu Allah pak ap k ander confidence paida kr dyta hy himat dyta hy InshaAllah zaror hamen es me b kamyabi mily gi...
jo jo log hame support kr rahy hen me unka shukar guzar hun or jo nhe kr rahy un ka b...
:) :)
thanks Jazi bhai ..
I appereciate you for this good step....
Allah AP ko din dugni aor rat chugni tarqi day ...Amin
User avatar
sheri4u51
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 57
Joined: Thu Apr 05, 2012 11:00 am
Nationality: Pakistani
Location: Bahawalpur

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by sheri4u51 »

2003 se 2008 tk ka jo matric r intermediate k session guzre hn us me objective portion tu short tha hi, lakin us me short questions and long questions me ek question tk ki b choice nhi thi,, us wqt me hm ne b is issue ko uthaya tha, us session me jitne b students aye un sb becharon ki 1st division tu kia second division b brhi mushkil se bni thi,, ab unk km marks km aye tu un bechary candidates ka kia qasoor hy,,, I endorse your application Dearest Jazzi and all those who are striving against qualification marks. May Allah help you. Ameen.
Muhammad Sheraz
Sub Inspector (F.I.A)
User avatar
Mansoor09
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 51
Joined: Wed Jun 10, 2015 7:45 pm
Nationality: Pakistani

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by Mansoor09 »

APPLICATION TO PPSC.pdf
jazi bhai ne bohat zabardast application tayaar ki hai,plz i request u all users of this forum ap apne apne email id se is application ko send karen with ur name and city to ppsc chairmain,
this is chairman email id
chairman@ppsc.gop.pk
iske ilawa ap apni khud ki tayaar karda application bhi send kar sakte hain,
aap ppsc ke officer post bhi kar sakte hain,
hume maximum logo ki support chahiye,kum se kum 1 thousand applications ppsc ke chairman sahab ka mind badal sakti hain.
yeh ppsc ka address hai
PUNJAB PUBLIC SERVICE COMMISSION,
2 AGHA KHAN (DAVIS ROAD) LAHORE
You do not have the required permissions to view the files attached to this post.
User avatar
Nawab
Zero Star Member
Zero Star Member
Posts: 4005
Joined: Sun Aug 14, 2011 5:53 pm
Nationality: Pakistani

Re: APPLICATION TO CHAIRMEN OF PPSC FOR CONCILIATION OF ACADEMIC MARKS

Post by Nawab »

Asslam o Aliqum ,
Mein kai month say zati masrifiyat kee waja say forum say dour tha .. Aaj forum mein is topic par aap sab logon kee discussion detail say parhi .
Discussion parh kar khushi bhi h9i aur kujh dukh bhi .. Khushi iss baat kee hoi k aap apnay nuqta nazar ko biyan karnay kee achi and positive discussion kar rahay hain but dukh is baat ka howa k aik dosray par tanqeed kee ja rahi hai ... Please ikhtalaf karnay and iktalaf bardasht karnay ka hosla paida karain .. har shakhas apni rai rakhnay meein azad hai .. lazmi nahain k wo aap kee baat say hee itfaq karay ..

different examination system and standard kee waja say yaqeeni tour par buhut say candidate ko nuqsaan hota hai ...

for example aik post k laiy qualification Graduation mangi jati hai ... aub aik candidate nay B.Sc kia howa aur us k subject mein Math , Chemistry ,Physics , Botnay , Zoology etc hain ....
aur dosray candidiate nay B.A kia howa hair and uss kee subject Punjabi , Physical Education , Saraiki , Education and Journalism etc hain .. Aub Donoo kee marks mein to buhut ziada difference aana hee hai ...aur B.Sc walay candidate ko iss mein lazmi tour par nuqsaan ho ga...

Aap loog zaroor application dain and applications by registered post send karian ..aur ziada say ziada loog application send karain .

but Aap loog ye keh kar ziadati kar rahay hain k PPSC k interview mein members sirf academic record kee base par hee interview marks daitay hain . Aisa nahain hota .. Interview mein marks daitay waqat members buhut see cheazoon ko mad.e.nazar rakhtay hain .. Interview marks aap ko interview kee bunyaad par he miltay hain...

Mein zati toor par aisay buhut say candidates ko janta houn jo throughout first division thy .mgar PPSC say select na ho saky . aur aisay bhi kai candidate daikhay jo 2nd Division walay thy aur select ho gaiy ...

Matric say Master tak meri sirf 1 Ist Divison hai aur mein PPSC say BS-17 select howa tha ..

So mein kehna yee chata houn k academic record final selection mein aik factor zaror hai but yee sab kujh nahain hai ...

Allah Tala Aao logon ko apnay maqsad mein kamyab karay ...
Ameen
Post Reply

Return to “ANNOUNCEMENTS”